tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar

tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar
de pa-e-nazar ko aazadi khud-bini ko zanjir na kar

go tera 'amal mahdud rahe aur apni hi had maqsud rahe
rakh zehn ko sathi fitrat ka band us pe dar-e-tasir na kar

baatin mein ubhar kar zabt-e-fughan le apni nazar se kar-e-zaban
dil josh mein la fariyaad na kar tasir dikha taqrir na kar

tu khak mein mil aur aag mein jal jab khisht bane tab kaam chale
in kham dilon ke unsur par buniyaad na rakh ta'mir na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close