uljha na mere aaj ka daman kabhi kal se mangi na mere dil ne madad tul-e-‘amal se un ki nigah-e-mast hai labrez-e-ma'ani milti hui tasir mein 'hafiz' ki ghazal se idrak ne aankhen shab-e-auham mein kholin waqif na hua raushni-e-subh-e-azal se darja mutahayyar ka hai be-khud se firotar hai ruh ko ummid taraqqi ki ajal se bahs-e-kuhan-o-nau main samajhta nahin 'akbar' jo zarra hai maujud hai wo roz-e-azal se