tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai ishq ki aatish bala hai us ki sozish aur hai kyun na wahshat mein chubhe har mu ba-shakl-e-nish-tez khar-e-gham ki tere diwane ki kawish aur hai mutribo ba-saz aao tum hamari bazm mein saz-o-saman se tumhaari itni sazish aur hai thukta bhi dukhtar-e-raz par nahin mast-e-alast jo ki hai us fahisha par ghash wo fahish aur hai tab kya ham-tab howe us se khurshid-e-falak aaftab-e-dagh-e-dil ki apne tabish aur hai sab mita den dil se hain jitni ki us mein khwahishen gar hamein malum ho kuchh us ki khwahish aur hai abr mat ham-chashm hona chashm-e-dariya-bar se teri barish aur hai aur us ki barish aur hai hai to gardish charkh ki bhi fitna-angezi mein taq teri chashm-e-fitna-za ki lek gardish aur hai but-parasti jis se howe haq-parasti ai 'zafar' kya kahun tujh se ki wo tarz-e-parastish aur hai