tujh lab ki sifat lal-e-badakhshan sun kahunga jadu hain tere nain ghazalan sun kahunga di baadshahi haq ne tujhe husn-nagar ki yu kishwar-e-iran mein sulaiman sun kahunga tarif tere qad ki alif-war sirijan ja sarw-e-gulistan kun khush-alhan sun kahunga mujh par na karo zulm tum ai laili-e-khuban majnun hun tere gham kun bayaban sun kahunga dekha hun tujhe khwab mein ai maya-e-khubi is khwab ko ja yusuf-e-kanan sun kahunga jalta hun shab-o-roz tere gham mein ai sajan ye soz tera mashal-e-sozan sun kahunga yak nuqta tere safha-e-rukh par nain beja is mukh ko tere safha-e-quran sun kahunga qurban pari mukh pe hui chob si jal kar ye baat ajaib mah-e-taban sun kahunga be-sabr na ho ai 'wali' is dard sun hargiz jalta hun tere dard mein darman sun kahunga