tujh pe khul jae ki kya mehr ko shabnam se mila aankh ai husn-e-jahan-tab zara hum se mila wo masarrat jise kahte hain nashat-e-abadi us masarrat ka khazana bhi tere dam se mila wahdat-e-surat-o-mani ko samajh ai waiz husn-e-yazdan ka tasawwur rukh-e-adam se mila ahl-e-wahshat se ye tazin-e-jahan kya hoti ye saliqa bhi tere gesu-e-barham se mila ham-nashin soz-e-gham-e-dil kahin mahdud nahin kabhi sholon se mila hai kabhi shabnam se mila ladkhadana bhi hai takmil-e-safar ki tamhid hum ko manzil ka nishan laghzish-e-paiham se mila waza-dari ise kahiye ki haram mein bhi 'rawish' khud hi badh kar kisi ghaarat-gar-e-alam se mila