umid-o-bim ko hasil baqa kya main kya hun aur mera muddaa kya bara-e-sajda jhukti hai jabin kyon qarib aaya kisi ka naqsh-e-pa kya ye kyon tarikiyan chhai hui hain umidon ka diya bhi bujh gaya kya hamein to gham azal hi se mila hai hamin hum hain hamara puchhna kya main is tarz-e-takhatub ke tasadduq wo farmate hain mujh ko ho gaya kya mere gham ko khuda shadab rakkhe mujhe ahl-e-jahan se wasta kya mazaq-e-ishq ke mare hue hain hamare gham ka 'basit' puchhna kya