us ko chhune ko kai hath nikal kar aae chand se kis ne kaha tha ki wo chhat par aae ho utha phir se siyasat mein samundar manthan zahr pine ke liye phir koi shankar aae tum ne aankhen to khuli rakkhi hain apni lekin dil ka darwaza khule tab koi andar aae main to farhad nahin qais bhi ranjha bhi nahin kyun meri samt har ek samt se patthar aae gham mein dubi hui ghazlon ke jo aansu ponchhe aisa koi to zamane mein sukhnawar aae main wo dariya hun jo ghar se kabhi nikla hi nahin pyas le kar meri chaukhat pe samundar aae