wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi jo gham-e-dahr se begana bana de saqi jam-o-mina meri nazron se hata de saqi ye jo aankhon mein chhalakti hai pila de saqi shoala-e-ishq se chhalka de mere shishe ko aur betab ko betab bana de saqi haram-o-dair mein bat jate hain rindan-e-wafa haram-o-dair ki tafriq mita de saqi sun raha hun ki mayassar hi nahin duniya mein ek nigah raaz-e-do-alam jo bata de saqi khushk hai mausam-e-ehsas faza pyasi hai khum ke khum sina-e-geti pe lundha de saqi phir kabhi hosh na aae to koi baat nahin aaj hum jitni piyen utni pila de saqi josh-e-masti mein baghal-gir hun bichhde hue dil aaj insan ko insan bana de saqi zindagi khwab-e-musalsal ke siwa kuchh na sahi us ki tabir to 'darshan' ko bata de saqi