tujhe meri khamoshi se bhi andaza nahin hota ki main ab sirf baaton se tar-o-taza nahin hota tera aana bhi dekhega tera jaana bhi har koi mahal ki tarah ghar mein chor-darwaza nahin hota natijon se bhari duniya mein paida hone walon ka bharosa to bahut hota hai khamyaza nahin hota teri aawaz bhaari hoti to sunta nahin koi tere panw nahin hote to aawaza nahin hota wo jis ki ek thokar se hamari khak udti hai usi ke pas galon ke liye ghaza nahin hota use in shairon se taza phulon ki tawaqqo hai ki jin ki shairi mein sher bhi taza nahin hota bichhadte waqt hum donon ki haalat ek jaisi thi bikharte waqt jaise koi shiraaza nahin hota