tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha mera ghuncha-e-dil hai wo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu wa na dekha yagana hai tu aah beganagi mein koi dusra aur aisa na dekha aziyyat musibat malamat balaen tere ishq mein hum ne kya kya na dekha kiya muj ko daghon ne sarw-e-charaghan kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha taghaful ne tere ye kuchh din dikhae idhar tu ne lekin na dekha na dekha hijab-e-rukh-e-yar the aap hi hum khuli aankh jab koi parda na dekha shab o roz ai 'dard' dar pe hun us ke kisu ne jise yan na samjha na dekha