ujala kaisa ujale ka khwab la na sake sahar se mang ke hum aaftab la na sake hum apne chehra-e-be-dagh ke liye ai aql teri dukan se koi naqab la na sake jo chand par bhi gae hum to khak hi lae zamin ki nazr ko ek aaftab la na sake gae to the tere jalwon ko jaanchne lekin bacha ke hum nazar-e-intikhab la na sake zamin ki baat zamin ki zaban mein kahna thi hum aasman se koi kitab la na sake