zara se gham ke liye jaan se guzar jaana mohabbaton mein zaruri nahin hai mar jaana kabhi lihaz na rakhna kisi riwayat ka jo ji mein aaya use hum ne mo'atabar jaana wo ret ret faza mein teri sada ka sarab wo be-irada mera rah mein thahar jaana tamam raat bhatakna tere taaqub mein tere khayal ki sab sidhiyan utar jaana wo man mein chor liye phirna tere sae ka gali ke mod pe diwar-o-dar se dar jaana 'shakil' ganw ke sab log so gae honge ab itni raat ko achchha nahin hai ghar jaana