ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad hai pur-sukun samundar kuchh is tarah dil ka ki jaise chand khila hi nahin hai tere baad mahakti raat se dil se qalam se kaghaz se kisi se rabt rakha hi nahin hai tere baad khayal khwab fasane kahaniyan thin magar wo khat tujhe bhi likha hi nahin hai tere baad kahan se mahkegi honton pe lams ki khushbu kisi ko main ne chhua hi nahin hai tere baad charagh palkon pe 'azar' kisi ki yaadon ka qasam khuda ki jala hi nahin hai tere baad