wo shokh baam pe jab be-naqab aaega to mahtab-e-falak ko hijab aaega khabar na thi ki mitenge jawan hote hi ajal ka bhes badal kar shabab aaega padega aks jo saqi ki chashm-e-maigun ka nazar sharab mein jam-e-sharab aaega hazar haif ki sar nama-bar ka aaya hai samajh rahe the ki khat ka jawab aaega kalim han dil-e-betab ko sambhaale hue suna hai tur pe wo be-naqab aaega jo aarzu hai hamari wo kah to den lekin khayal ye hai ki tum ko hijab aaega ye shokhiyan teri is kam-sini mein ai zalim qayamat aaegi jis din shabab aaega kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein kabhi khayal ki khat ka jawab aaega chala hai 'hijr' siyahkar bazm-e-jaanan ko zalil ho ke ye khana-kharab aaega