tum nahin jaante wafa kya hai dard-e-dil ke liye dawa kya hai jo jafakar hi rahe har dam wo nahin jaante jafa kya hai shauq-e-didar hi raha har dam is jahan mein magar mila kya hai har taraf rang hai fareb-e-nazar jalwa-gar us ki ye ada kya hai zindagi qaid-o-band hai shayad zindagi gar ye hai saza kya hai ruth kar chal gae jahan se wo zindagi tujh mein ab dhara kya hai sare gulshan fasurda-saman hain ghunche ghunche ko ab hua kya hai zindagi tujh se main ne sikha hai aarzu kya hai muddaa kya hai tajrabe se hua hai ab malum dahr kya chiz hai khuda kya hai umr aakhir ko aa gai 'tashna' ja tu ab bazm mein rakha kya hai