ummid ke ufuq se na uttha ghubar tak dekhi agarche rah-khizan se bahaar tak rakhne ko tere wada-e-na-mo'tabar ki laj jheli hai dil ne zahmat-e-sabr-o-qarar tak dekha hai kis ne munh sahar-e-jalwa-saz ka sab walwale hain ek shab-e-intizar tak sayyaad ke sitam se rihai ka zikr kya sau dam the qafas se sar-e-shakh-sar tak matam ye hai ki zauq-e-fughan bhi nahin nasib be-soz ho gaya nafas-e-shola-kar tak jati hai dil ki hasrat-e-nazzargi kahan nazzara ho gaya hai nigahon pe bar tak kya us ki shan-e-banda-nawazi ka puchhna bakhsha hai muflison ko gham-e-shah-war tak phir us ke baad dil mein na utri koi nigah wo teziyan rahin tere khanjar ki dhaar tak 'haqqi' se sargiran hi sahi nukta-dan-e-sher ek rang hai ki hai kuchh isi jaan-e-haar tak