wo kahan qasr-e-ali-shan mein khush hum gharibon ke hain gumnam mein khush dur se dekhne se lagte hain sab sitare hain aasman mein khush dhup usi raste mein aati hai ek darwaza hai makan mein khush rah-giron ko rok leti hai chaarpai hai saeban mein khush tukde tukdon mein bat gai duniya kuchh purane hain khandan mein khush kaghazon par saje sunahre khwab log hote rahe plan mein khush ho saliqa agar baratne ka lafz rahte hain har zaban mein khush