tumhaara hijr manaya to main akela tha junun ne hashr uthaya to main akela tha ye meri apni duaen jinhon ne radd ho kar gale se mujh ko lagaya to main akela tha dayar-e-khwab tha tum the tamam duniya thi kisi ne aa ke jagaya to main akela tha koi husaini na nikla mere rafiqon mein diya bujha ke jalaya to main akela tha tumhaara hath nahin tha wo mauj-e-girya thi meri samajh mein jab aaya to main akela tha tumhaare lams ki khushbu fareb nikli hai badan ne hashr uthaya to main akela tha kahan se aai thi aakhir teri talab mujh mein khuda ne mujh ko banaya to main akela tha