tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza thahri dil-e-mahzun se nikli dida-e-bismil mein aa thahri tasawwur yar ka tha samne aati qaza kyun kar sar-e-baalin dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-ruba thahri jhukaya bar-e-isyan ne hamare dast-e-hasrat ko pahunch kar ta-ba-lab jis ki nadamat se dua thahri tumhaari jumbish-e-abru se ghayal ho gae aashiq ban aai jaan par un ki tumhaari ek ada thahri usi andaz ne viran kiya hai mere pahlu ko dil-e-ashiq ke lene ko in aankhon mein ziya thahri saba ke tez jhonkon ne phiraya dar-ba-dar us ko zamin par chain se kis dam ye khak-e-mubtala thahri jalaya muskura kar aur ada se kar diya murda kahin to ye jafa thahri kisi ja par wafa thahri basan-e-khun-e-dil chaspan hui hai tere talwon se hamari dushman-e-jaan ab ye shokhi-e-ziya thahri ilahi kya mere dilbar ne khola apne gesu ko masham-e-jaan mein apne aa ke bu-e-jaan-fiza thahri tumhaari bad-dua se lutf milta hai mere dil ko main aashiq hun tumhaara wo mere haq mein dua thahri farishton ne pukara ai 'jamila' jald hazir ho khuda ke ru-ba-ru aa kar saf-e-ahl-e-safa thahri