kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo bahut kada hai safar thodi dur sath chalo tamam umr kahan koi sath deta hai ye jaanta hun magar thodi dur sath chalo nashe mein chur hun main bhi tumhein bhi hosh nahin bada maza ho agar thodi dur sath chalo ye ek shab ki mulaqat bhi ghanimat hai kise hai kal ki khabar thodi dur sath chalo abhi to jag rahe hain charagh rahon ke abhi hai dur sahar thodi dur sath chalo tawaf-e-manzil-e-jaanan hamein bhi karna hai 'faraaz' tum bhi agar thodi dur sath chalo