ulfat ke fasane mazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae

ulfat ke fasane mazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae
gham ke baadal dil pe mere kuchh chhat bhi gae kuchh chha bhi gae

jab ishq ki wadi mein hum tum le kar hathon mein hath chale
go khar bhi uljhe daman mein kuchh lamhe gul barsa bhi gae

jab raaz-e-mohabbat mujh se suna kuchh wo bhi pasije dam bhar ko
chup rahte hue kuchh kah bhi gae aur kahte hue katra bhi gae

bazi mein mohabbat ki aksar kuchh marhale aise aae hain
jab jit ke bhi hum haar gae aur haar ke hum kuchh pa bhi gae

wo aae aur kuchh haal na puchha dil ka dard bhi kuchh na suna
yun dekh ki un ko dil ke kanwal kuchh khil bhi gae murjha bhi gae

uljhi si hain ishq ki rahen jokhim si kuchh ishq ki manzil
in rahon mein kuchh kho bhi gae aur manzil ko kuchh pa bhi gae

go lakh jatan hum ne bhi kiye par qalb ki taskin ho na saki
armanon se dil khali na hua kuchh ghut bhi gae kuchh pa bhi gae

kya jaane hum kya kah baithe wo kah na sake jo kahna tha
hum pyar ke tane-bane ko suljha bhi gae uljha bhi gae

ye husn ki masti un ki 'habib' ye kya hi anokhi masti hai
kuchh khud bhi hue be-khud us se kuchh be-khud hum ko bana bhi gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close