ujda ujda shahr-e-tamanna kaise ise aabaad karen tum hi qatil tum hi aadil hum kis se fariyaad karen amn-o-ukhuwwat apna maslak mehr-o-wafa hai apna din apna to ye kaam nahin hai zulm-o-istibdad karen khush-fahmi ki patwaron se kashti khena kya mani kuchh sochen kuchh rah nikalen waqt na yun barbaad karen ahl-e-junun ne jis basti ko taraj-o-pamal kiya ahl-e-mohabbat aao mil kar phir us ko aabaad karen jhute hain sab rishte nate koi kisi ka mit nahin kis kis ka arman karen hum kis kis ko hum yaad karen