ye kis muhim par chale the hum jis mein raste pur-khatar na aae hamein nawaza na wahshaton ne hamein junun ke hunar na aae mujhe bahut tez dhup darkar hai mohabbat ke is safar mein kabhi kahin sar pe saya karne koi ghanera shajar na aae andheri shab ka ye khwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai to raat itni tawil ho jae ta-qayamat sahar na aae jahan hon teri hi raunaqen aur tere nazare hi chaaron jaanib us anjuman ka pata bata de jahan se meri khabar na aae jo laut aae koi safar se to phir musafir kahan raha wo wahi musafir hai jo safar mein hai aur kabhi laut kar na aae wo aasmanon mein rahne wala sunega ek din teri 'alina' sada ko apni buland rakh tu dua mein jab tak asar na aae