udasi chha gai chehre pe sham-e-mahfil ke

udasi chha gai chehre pe sham-e-mahfil ke
nasim-e-subh se shole bhadak uthe dil ke

sharik-e-haal nahin hai koi to kya parwa
dalil-e-rah-e-mohabbat hain walwale dil ke

ajab nahin ki bapa ho yahin se fitna-e-hashr
zamane bhar mein hain sare fasad isi dil ke

na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na bang-e-jaras
bhatak na jaen musafir adam ki manzil ke

khushi ke mare zamin par qadam nahin rakhte
jab aae qafile wale qarib manzil ke

nazara-e-rukh-e-laila mubarak ai majnun
nigah-e-shauq ne parde uthae mahmil ke

mushahide ko ek aaina-e-jamal diya
kamal-e-ishq ne jauhar dikha diye dil ke

zaban-e-'yas' se afsana-e-sahar suniye
wo rona shama ka parwanon se gale mil ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close