uth kar chale hain aaj tere aastan se hum bezar ab hain bandagi-e-raegan se hum ai dil har ek baat mein be-rabtiyan hain kyon kuchh mutmain nahin hain teri dastan se hum mayus-kun hai manzil-e-ishq-e-butan ka shauq aa pahunche phir wahin ki chale the jahan se hum dil ko to un ke lutf-o-karam ne mita diya be-faeda ulajhte rahe aasman se hum apni nigah-e-shauq bhi ab tak hai be-khabar ai husn dhund kar tujhe laen kahan se hum be-kaif tha fasana-e-ulfat magar use chamka gae hain shokhi-e-tarz-e-bayan se hum nakaamiyon ne gher liya dam pe ban gai sab kuchh hua magar na dabe aasman se hum dushman bhi dekh kar hamein hota hai ashk-rez ye faiz pa rahe hain kisi mehrban se hum 'sahir' qafas mein hum ko ye azmat hui nasib baala hain imtiyaz-e-bahaar-o-khizan se hum