wo ek nigah jo khamosh si hai barson se ye kaun jaane wo kya kah rahi hai barson se hamare chehron pe ab apna-pan nahin ugta ye wo zamin hai jo banjar padi hai barson se badan ka sara lahu mangta hai wo ek lafz nigah zehn ki jis par tiki hai barson se kahan se laun wo taswir jo bani hi nahin nazar mein gard ude ja rahi hai barson se meri nigah mein din hai mere badan mein hai raat meri kitab adhuri padi hai barson se samundaron mein kabhi baadalon ke khemon mein ek aag mujh ko liye phir rahi hai barson se kahan kahan liye phirti hai raat ko 'abid' wo ek sada jo mujhe dhundhti hai barson se