tur-e-dil kharab bana par bigad gaya go shisha-e-sharab bana par bigad gaya lipta jo us se khwab mein main aankh khul gai kaam ai qusur-e-khwab bana par bigad gaya har-chand misl-e-khana-e-duniya-e-be-sabaat main khanuman-kharab bana par bigad gaya mumkin hui na tere pasine se hamsari kis kis tarah gulab bana par bigad gaya pursish ke sath afw bhi ai 'mehr' tha sharik daftar dam-e-hisab bana par bigad gaya