ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji ye shahr tumhaara apna hai ise chhod na jao insha-ji jitne bhi yahan ke basi hain sab ke sab tum se pyar karen kya un se bhi munh pheroge ye zulm na dhao insha-ji kya soch ke tum ne sinchi thi ye kesar kyari chahat ki tum jin ko hansane aae the un ko na rulao insha-ji tum lakh siyahat ke ho dhani ek baat hamari bhi mano koi ja ke jahan se aata nahin us des na jao insha-ji bikhraate ho sona harfon ka tum chandi jaise kaghaz par phir in mein apne zakhmon ka mat zahr milao insha-ji ek raat to kya wo hashr talak rakkhegi khula darwaze ko kab laut ke tum ghar aaoge sajni ko batao insha-ji nahin sirf 'qatil' ki baat yahan kahin 'sahir' hai kahin 'ali' hai tum apne purane yaron se daman na chudao insha-ji