tute hue diwar-o-dar ujdi hui thi meri chhat us ne kaha kya haal hai main ne kaha sab khairiyat baraat ek aati hui mayyat koi jati hui ye zindagi hai tah-ba-tah khulti nahin is ki parat chehron ki rangat zard si mahfil hui kyon sard si baqi agarche hum mein hai ab bhi wahi tab-o-sakat insan pareshan dahr mein wahshi darinde shahr mein yaksar badal kar rah gai kaise mere shahron ki gat sarmaya-dari ka subu hai jis mein insan ka lahu is se to achchhi hai kahin meri ye mai pine ki lat