tuyur-e-fikr-o-sukhan ki udan zinda hai khuda ka shukr ki urdu zaban zinda hai tanaben kat din jis ne meri zamin ke sath use kaho ki abhi aasman zinda hai ajab hai gumbad-e-be-dar ki gunj sun lena samaaton pe tera ye guman zinda hai nagar ki pukhta haweli mein ghut ke marne se chalo ki ganw ka kachcha makan zinda hai paron ko baith gaya kyon samet kar apne udan bhar ki abhi aasman zinda hai khuda ke ghar ko giraya to kya kamal kiya kamal ye hai ki ab bhi azan zinda hai bahut hi khush hain fasadi jala ke ghar mera khabar nahin ki mera khandan zinda hai hamara khun hai shamil watan ki mitti mein hamare dam se hi hindostan zinda hai yazidiyat to 'raza' hai fana ki manzil mein husainiyat tera nam-o-nishan zinda hai