ye pairahan pe pairahan wabaal hai so khud ko be-wabaal kar visal kar wajud-e-jism-e-jaan se istifada kar zara samay nikal kar visal kar lahu ko chulluon mein le ke yun uda badan pe rang dal kar visal kar amir-e-wahshiyan-e-ishq hun so tu zara si dekh-bhaal kar visal kar ye ism-e-karsaz hai junun padh ye hosh paemal kar visal kar teri ye zard aankhen dekh sharm kar tu in ka rang lal kar visal kar khuda jawab de na de bigad pade khuda se bhi sawal kar visal kar visal-e-yar gar haram hai to sun haram ko halal kar visal kar khuda ka hijr asl mein visal hai so is mein intiqal kar visal kar firaq se gurez kar gurez kar visal kar visal kar visal kar