ukta ke chala aaya hun khaTpaT se baDi dur

ukta ke chala aaya hun khatpat se badi dur
khud apne hi ghar apni hi chaukhat se badi dur

har sans udasi ka safar karna hai mujh ko
ek rah bane dil ki thakawat se badi dur

kis darja sukun-afza hai ye hijr ka aalam
is ishq ko rakh wasl ke jhanjhat se badi dur

lazim hai kisi baat se dil tera dukha de
tu rahiyo mujh aise kisi munh-phat se badi dur

ye hum jo suhate nahin duniya ko nazar bhar
kirdar ke khalis hain banawat se badi dur

duniya koi ras aai to khalwat se pare ki
dil ja ke basa bhi hai to jamghat se badi dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close