ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye jaanta dana bhi ranj hai yahan yani ki dam ranj hai mani-e-jawedan-e-jaan kuchh bhi nahin magar ziyan sare kalim hain zubun sara kalam ranj hai baba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul kya mera nam bhi hai ranj han tera nam ranj hai kasa gadagari ka hai naf-piyala yar ka bhuk hai wo badan tamam wasl tamam ranj hai jit ke koi aae tab haar ke koi aae tab jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai dil ne padha sabaq tamam bud to hai qalaq tamam han mera nam ranj hai han tera nam ranj hai paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar laghzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai baba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai aan pe ho madar kya bud ke rozgar ka dam hama-dam hai dun ye dam wahm-e-dawam ranj hai razm hai khun ka hazar koi bahae ya bahe rustam o zal hain malal yani ki sam ranj hai