zamanon ke kharabon mein utar kar dekh leta hun purane jangalon mein bhi samundar dekh leta hun jo tufanon ke dar se paniyon mein sar chhupati hain main aisi sipiyon mein koi gauhar dekh leta hun hamesha khauf ke narghe mein rahta hun magar phir bhi ababilon ki minqaron mein lashkar dekh leta hun wo dehaton ke raste hon ki hon footpath shahron ke jahan par raat pad jae wahan ghar dekh leta hun bahut si khwahishon ko main panapne hi nahin deta magar un ki nigahon mein soyambar dekh leta hun