ulfat mein aisi laghzish-e-mastana chahiye dar par tere giren to sambhalna na chahiye hai aalam-e-shabab kisi ka nigah mein meri nazar ko aur tamasha na chahiye saqi ki ek nigah pe madhosh bazm hai gardish mein ab to saghar-o-mina na chahiye chilman ki tiliyon se ruki kab nigah-e-shauq us par kabhi bhi bandish-e-beja na chahiye saqi-gari ki laj rakho ye to ehtimam koi bhi rind bazm mein pyasa na chahiye farzangi se tai hui kab manzil-e-hayat rakht-e-safar mein ek dil-e-diwana chahiye har har qadam pe soch ke chalna ajib hai jine ko kuchh to jurat-e-rindana chahiye kam hai 'habib' umr tassuf ke waste duniyan ko baat baat pe jhutlana chahiye