umid-e-did kaam aae na aae

umid-e-did kaam aae na aae
sahar aai hai sham aae na aae

mayassar hai nigah-e-lutf-e-saqi
hamein kya daur-e-jam aae na aae

sharab aankhon hi aankhon mein na pi lun
mere lab tak wo jam aae na aae

saba karti to hai koshish barabar
tera tarz-e-khiram aae na aae

kali chatki pahunch jaegi bulbul
saba le kar payam aae na aae

mere dil mein hai us ka lutf-e-guftar
but-e-shirin-kalam aae na aae

sarapa paikar-e-taslim hun main
kabhi un ka salam aae na aae

unhen aati hai meri yaad ab bhi
zaban par mera nam aae na aae

bana le jawedan ulfat se is ko
kabhi phir aisi sham aae na aae

main rahi hun hai chalna kaam mera
koi dilkash maqam aae na aae

nigahen un ki sab kuchh kah gai hain
koi le kar payam aae na aae

'habib' ahl-e-zaban se ham-sukhan hun
wo andaz-e-kalam aae na aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close