unhen shauq-e-ibaadat bhi hai aur gane ki 'adat bhi nikalti hain du'aen un ke munh se thumriyan ho kar ta'alluq 'ashiq-o-ma'shuq ka to lutf rakhta tha maze ab wo kahan pati rahi bibi miyan ho kar na thi mutlaq tawaqqo' bill bana kar pesh kar doge meri jaan lut gaya main to tumhaara mehman ho kar haqiqat mein main bulbul hun magar chaare ki khwahish mein bana hun member-e-council yahan mitthu miyan ho kar nikala karti hain ghar se ye kah kar tu to majnun hai sata rakkha hai mujh ko sas ne laila ki man ho kar raqib-e-sifla-khu thahre na meri aah ke aage bhagaya machchharon ko un ke kamron se dhuan ho kar