ye baaten aaj ki kal jis kitab mein likhna tum apne jurm ko mere hisab mein likhna hadis-e-dil ko qalam se na aashna karna kahaniyan hi hamesha jawab mein likhna mujhe samajhne ki koshish hai shaghl-e-la-hasil jo chahna wahi tum mere bab mein likhna wo kahte hain likho nama magar lihaz rahe hamara nam na hargiz khitab mein likhna mita mita jo raha zulmaton ke parde mein wo harf-e-haq waraq-e-aftab mein likhna hamesha jis ki hawas ko thi aarzu-e-bahisht usi ki ruh rahi thi azab mein likhna jo baat likhne ko tha muztarib bahut 'naushad' wahi main bhul gaya iztirab mein likhna