ye maslahat-andesh karam yaad rahega saqi teri nazron ka bharam yaad rahega gham yaad rahega na alam yaad rahega ek hasil-e-gham rabt-e-baham yaad rahega but-khane ki azmat ka pata jis se mila hai wo hadisa-e-dair-o-haram yaad rahega hai ahl-e-mohabbat ke liye kaba-e-maqsad wo shokh tarahdar sanam yaad rahega us aankh mein aansu the ki paigham-e-tabahi ehsas-e-gunahgari-e-gham yaad rahega us shokh ki nazron ko na bhulegi ye mahfil mera dil-e-diwana hi kam yaad rahega be-mehri-e-dildar bhula sakta hai lekin 'basit' ko wafaon ka bharam yaad rahega