wahi ek fareb hasrat ki tha bakhshish-e-nigaran so qadam qadam pe khaya ba tariq-e-pukhta-karan wo chale khizan ke dere ki hai aamad-e-bahaaran shab-e-gham ke rah-nashinon kaho ab salah-e-yaran mere aashiyan ka kya hai mera aasman salamat hain mere chaman ki raunaq yahi barq-o-baad-o-baran na sahi pasand-e-hikmat ye shiar-e-ahl-e-dil hai kabhi sar bhi de diya hai ba-salah-e-dost-daran rahe husn ban ke aakhir jo khayal udhar se guzre ye kidhar ki chandni thi sar-e-khak-e-rah-e-guzaran mere ek dil ki khatir ye kashakash-e-hawadis tere ek gham ke badle ye hujum-e-gham-gusaran meri wahshaton ne jis ko na bana ke raaz rakkha wahi raaz hai ki ab tak hai miyan-e-raaz-daran kisi manchale ne bheja hai mai-e-sukhan se bhar kar ki ye saghar-e-dil-afza hai ye nazr-e-dil-nigaran