usi khush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi usi khush-nawa pe saja hai kya meri shairi ka libas bhi wo ghazal ka rup liye hue mujhe har maqam pe le gaya kabhi dasht-e-yar ke darmiyan kabhi shahr-e-fikr ke pas bhi jise itna auj-e-nazar mila use kyun na dard-e-zamin mile kisi falsafe ka nuzul hai tere lab pe kalma-e-yas bhi koi jaise nok-e-sinan liye shab-o-roz sar pe khada raha hai aziyyaton ke shumar mein ye aziyyaton ka hiras bhi rukh-e-dagh-e-dil ke siwa 'hasan' main nawa-e-be-dil-o-shad hun inhi aashiqon ka hai rang bhi unhi kaamilon ka hai bas bhi