umr-e-abad se khizr ko be-zar dekh kar khush hon fusun-e-nargis-e-bimar dekh kar kya jalwa-gah-e-hasrat-e-nazzara hai bahisht hairan hun surat-e-dar-o-diwar dekh kar baada ba-qadr-e-zarf sahi rasm-e-mai-kada saqi nazakat-e-dil-e-mai-khwar dekh kar ab justuju-e-dost ki manzil kahin bhi ho hum chal pade hain rah ko dushwar dekh kar shayan-e-jurm-e-ishq na thi qaid-e-zindagi ji shad ho gaya rasan-o-dar dekh kar ab is se kiya gharaz ye haram hai ki dair hai baithe hain hum to saya-e-diwar dekh kar ab hashr tak hijab-nashin hai nigah-e-shauq chhupna tha rang-e-hasrat-e-didar dekh kar raaz-e-farogh-e-akhir-e-shab kuchh na khul saka kyun khush hai shama subh ke aasar dekh kar saz-e-ghazal utha hi liya hum ne ai 'rawish' is chashm-e-nim-baz ka israr dekh kar