umr guzri hai kaamrani se

By zakir-khan-zakirNovember 29, 2020
umr guzri hai kaamrani se
koi shikwa nahin jawani se
misl-e-adam hai be-ghari apni
kaun darta hai be-makani se


yun musalsal azab jhela hai
ashk lagne lage hain pani se
hum hi kirdar the kahani ke
hum hi bahar hue kahani se


sach chhupana muhaal hai sahab
jhut se ya ki lan-tarani se
kya wo pariyan qamar-asir huin
sunte aae the hum jo nani se


zulmaton mein bhi hans ke khul jaana
us ne sikha hai raat-rani se
banjh aankhen huin magar 'zakir'
khwab aate rahe rawani se


29650 viewsghazalEnglish