umr inkar ki diwar se sar phodti hai ranj ye hai use aaya na saliqa apna ek din raat ke asrar khulenge hum par shak ki bauchhaar se chhalni hua sina apna khurd-binon se kai dagh chhupae apne gham-gusaron ne koi bhed na paya apna apni khoi hui aawaz rasai mange jaan se uljha hai koi naghma rasila apna nind wo ret ki diwar ki mismar hui apni aankhon mein chhupa rakkha hai sahra apna zindagi ek guzarti hui parchhain hai aaina dekhta rahta hai tamasha apna barg-e-awaz ke manind udenge ye pahad gharq ho jaega pani mein jazira apna khwab dekha tha ki hum honge bichhadne wale munhadim ho gae par khwab na tuta apna chand ki tarh kai dagh hain peshani par maut ke samne mahtab hai chehra apna