un aankhon ko nazar kya aa gaya hai mizaj-e-arzu badla hua hai na jaane haar hai ya jit kya hai ghamon par muskurana aa gaya hai meri haalat pe un ka muskurana jawab-e-na-muradi aa gaya hai nahin ek main hi nakaam-e-mohabbat yahi pahle bhi aksar ho chuka hai saba ki rau na ghunchon ka tabassum chaman walo kaho kya ho gaya hai shab-e-gham sahmi sahmi yaad un ki andhere mein diya sa jal raha hai nahin milta suragh-e-manzil-e-shauq mohabbat se bhi ji ghabra gaya hai