wo dil nahin raha wo mohabbat nahin rahi ab zindagi se koi shikayat nahin rahi is bar koi zakhm bhi gahra nahin laga mujh par sitamgaron ki inayat nahin rahi jaen kahan samet ke apni udasiyan kahte the ghar jise wo imarat nahin rahi ek dam se un ki yaad gai to nahin magar ab fikr mein wo pahle si kasrat nahin rahi aansu hi ponchhta ya mere zakhm chumta itni bhi ab ke yar ko fursat nahin rahi mahfil hai hasraton ki khayalon ka hai hujum tanhai mein bhi ab koi khalwat nahin rahi shayad mujhe bhi ab ke wo kuchh meherban laga shayad use bhi mujh se shikayat nahin rahi kahte hain ab ke denge har ek baat ka jawab mujh mein hi jab sawal ki taqat nahin rahi marne ne mere sab ko farishta bana diya dushman ke bhi dilon mein kudurat nahin rahi pahle to lutf-e-shiddat-e-gham ki khushi rahi phir yun hua ke gham mein bhi shiddat nahin rahi kahte ke ja khuda ki aman mein diya tujhe waqt-e-judai itni bhi mohlat nahin rahi