waqt apna ho to tufan-o-bala kuchh bhi nahin

waqt apna ho to tufan-o-bala kuchh bhi nahin
barq girne ko giri aur hua kuchh bhi nahin

main ne ek umr guzari hai teri furqat mein
kya muqaddar mein mere is ke siwa kuchh bhi nahin

sirf hathon ko uthane ka natija kya hai
ho saliqa na dua ka to dua kuchh bhi nahin

jaane bhar jate hain kis tarah gulon se daman
mere daman mein to kanton ke siwa kuchh bhi nahin

baat zakhmon ki kaho karb ki tashrih karo
ab mohabbat ke fasane mein raha kuchh bhi nahin

dard-o-gham aah-o-fughan soz-e-nihan ashk rawan
dosto is ke siwa mera pata kuchh bhi nahin

chand sikkon ke liye shauq se bik jate hain
aaj ke daur mein insan ki ana kuchh bhi nahin

raushni jitni thi sab lut li andhiyaron ne
ab ujalon mein 'sahar' aur bacha kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close