un se milne ki iltija ki hai dil-e-nadan ne ye khata ki hai main khincha ja raha hun us ki taraf ye kashish husn-e-fitna-za ki hai khud-farebi mein mubtala rakh kar zulm ki tum ne intiha ki hai qaul aur feal mein tazad rawa baat kuchh pir-e-parsa ki hai daur-e-hazir ke peshwaon mein khwahish-e-sim-o-zar bala ki hai jite ji maghfirat ka khwahan hun baat ab zahmat-e-dua ki hai ye man-o-tu ki kar-farmai zehn-e-adam ne ja-ba-ja ki hai maqsad-e-zindagi samajh baitha chashm-e-bina jo us ne wa ki hai jhuk rahi hai 'azim' apni jabin ye karamat to naqsh-e-pa ki hai