un ki surat jahan nazar aai dil ki har chot phir ubhar aai mit ke hum un se haal kya kahte pursish-e-gham pe aankh bhar aai dil thaharta na tha magar thahra maut aati na thi magar aai khud ko main dhundne laga us dam un ke aane ki jab khabar aai din to furqat ka kat gaya lekin raat aai to be-sahar aai mujh ko dil se bhulane baithe hain kya karenge wo yaad agar aai wo jo aae to mujh ko hosh aaya dil-e-gum-gashta ki khabar aai bhul kar tum kidhar ye aa nikle eid ye aaj kis ke ghar aai tum chhute jab se meri duniya mein sham aai na phir sahar aai kitni bebak hai mohabbat bhi aankh milte hi dil mein dar aai un ko aana tha wo nahin aae yaad aani thi umr-bhar aai chaak karna pada gareban ko baat banti na jab nazar aai gham ko tala bahut magar 'sahir' ye bala ishq hi ke sar aai