ye baat alag dil ko teri yaad ne bandha is said ko warna kahan sayyaad ne bandha kucha ye koi aur hi aabaad karega saman jo ab ke dil-e-barbaad ne bandha is shahr ko ab chhod ke kya jaun ki mujh ko roka hai kisi aah ne fariyaad ne bandha jo us ki talab hai wahi ab meri talab hai kis sehr se mujh ko mere ham-zad ne bandha hamwar hui rah na rasta hi khula hai bazu se to tawiz bhi afrad ne bandha ek koh-e-giran tod diya par nahin toda paiman-e-wafa jab kisi farhad ne bandha shagird ke ab sher se hota hai baramad mazmun bahut pahle jo ustad ne bandha 'faruq' nazar ho gai markuz usi par kya khub adaon se pari-zad ne bandha